To Tera Sath Kafi Hai...

To Tera Sath Kafi Hai...
Ye jag roothe agar hamase to tera sath kafi hai...
Bina kismat ke in hatho me tera hath kafi hai...

Mujhe janmo-janam tak isk me pagal banane ko...
Tumhare sang jo biti hai vahi ek rat kafi hai...
Agar madhuban me bhavare ki kali se bat na hogi...
To sach mano mohabbat ki kabhi survat na hogi...

Javan hokar hazzaro khwab tum dil me saja lo par...
Hamare bin tumhari jindgi me rat na hogi...

jindgi to paheli thi, paheli hai, rahegi bhi...
Hansi gam ki saheli thi, saheli hai, rahegi bhi...

BHale hokar juda mujhase vo apana ghar basa legi....
Magar mujh bin akeli thi, akeli hai, rahegi bhi....

Hamare dil me rahate ho to fir kaisi ye duri hai...
abhi tak kah nahi paya par ab kahana jaroori hai...

khafa hokar chale jao magar itana samajh lana...
Mai tere bin adhura hun tu mere bin adhuri hai.....

No comments:

Post a Comment