aur use bhi apni kuch haqiqato se rubaru karta raha....
uski baato mein ek hulchul thi....
uski ankho mein guzri raat k khuab ki....
mujhe chhu lene ki hasrat thi.....
dopeher ki us dhoop mein kabhi merre ghar wale bulate....
tou kabhi uske ghar wale use ander aane ko kehte.......
per hum abhi aa rahe hai keh kuch der aur baate karne lagte......
ek duje k sath mile waqt mein mhbt k ehsas mein bikharne lagte...
chalo ab chalte hai keh kar jate jate hum ruk jate....
ghadi dekh kuch der aur baate kar le soch phir kho jate....
jo bandhan hamein rok raha tha vo hamari dhadkano ka saaz tha...
jo kabhi merre lafzo ki tou kabhi uski nigaho ki awaaz tha....
shaam ko achanak vo mujhe raah mein mil gaya....
use dekhte hi merra chehra khushi se khil gaya....
mujhe dekhte hi dagmaga gye uske kadam....
jab apna hath badhaya maine tou usne thaam liya.....
phir ek minute rukna kehkar usne mujhe chaht ka paigam diya.....
hatho mein tha uske merra hath....
na maine chhudaya na usne chhodne ki chah jatayi...
hum bhare bazar mein khade hai naa chahte hue bhi
maine use iss baat ki yad dilayi.....
sirrf kuch lamhe the hamare paas ek duje ko dekhne k...
bahut kuch kehna tha per lab hamare sile the....
jate hue MERRA AJNABI ek chaht ka nazrana de gaya...
uski talab ki vo mithaas ab bhi hai.....
merre hath per uske labo ka vo ehsas ab bhi hai......
No comments:
Post a Comment