Ye hawa ye fiza aur tumhara sath...

 Ye hawa ye fiza aur tumhara sath...
ye hawa ye fiza aur tumhara sath...
ye bahar ye gulshan aur hum dono ki suhani raat...

ye badalo ka chhana u barish ka aana...
is mausam me sabse gazab hai tera muskurana...
ye tumhari kamsin jawani hmari tumhari kahani...
ek hona hmara sab ko btayenge apni jubani...

ye kaliya ye phool ye suraj ka chmakna...
kudrat ki banawat hai tumhara u foolo sa mahkna...

ye hare bhare se khet kheto me peeli sarso...
kuchh roz pahle mile the magar lagta hai jaise hogye hai barso...

tumhare bina jeene ki soch jaise bin pani ke machhli...
tum bina mai aise jaise foolo ke bina titli...

tu paristan ki pari hai aur jannat ki hoor...
khuda ka wasta hai kabhi jana na mujhse door......

No comments:

Post a Comment