Tum tou merre sang ho nhi....

Tum tou merre sang ho nhi....
Tum tou merre sang ho nhi....
isiliye aaj main tumhari yado se baate kar raha hu....

kasak dil ki mitaye kahan mit rahi hai....
aaj apne takiye ko bar bar baho mein bhar raha hu....
tumhara khayal aate hi lab muskura rahe hai....
aaine k saamne jake bewajah hi sanwar raha hu.....

tumhari agosh ki garmi mehsus hoti hai jis pal....
usi pal apne bistar pe main toot k bikhar raha hu....

jane ye kaisa lamha hai jo itna bechain kar raha hai....
dil mein umadte in ehsaso se main kuch kuch darr raha hu....

janta nhi tha tumhari mhbt itna diwana bana degi mujhe....
bebasi k is haal mein doob k khud hi ubhar raha hu.....

merre ajnabi tum tou merre sang ho nhi.....
isiliye aaj main tumhari yado se baate kar raha hu.........

No comments:

Post a Comment