ab bhi yaad hai mujhko...
wo mili thi mujhse khwaab ki tarah
uska pyara sa chehra
uski pyari si baaten..
hoth to the uske kisi gulab ki tarah....
chalte chalte raah me mili thi..
tab usse koi rishta na tha...
na jane kab baate hone lagi,
humara to usse wasta na tha...
wo kareeb aate gaye..
sapne man hi man sazate gaye..
kuch bhi bura na laga usme..
uski har khubi ko ham apnate gaye...
par darta tha dil soch ke..
aankho me mohabbat chupa nahi sakta...
wo dil me baste ja rahe the...
jinhe mai kabhi pa nahi sakta...
achanak hi eak roz wo baat hi baat me,
kisi ke bare me batane lage...
mai chup chap unhe sunta raha...
wo badi shadgi se sunane lage....
poocha jo mai ke kon hai wo,
kis ki yaad me mahfil saza rakkha hai...
usne kaha yahi to hai wo...
jise humne dil me basa rakha hai...
mohabbat wo hai humare..
unhe bhi hai mohabbat humse...
mai chupa ke aansu has ke kaha..
to yahi hai wo jise duniya se chupa rakha hai...
ha has raha tha mai, uspar nahi..
apni takdeer pe has raha tha...
kya rishta hai mujhse, wo kon hai...
na jane kya kya soch raha tha...
dhire dhire door hone lage...
apne hi aap me khone lage....
na jane kyo dil ko chot lagi...
wo apna na tha khud ko samjhane lage....
sach hi to hai wo apna na tha..
lekin bita pal bhi sapna na tha....
wo the kisi or ke firbhi...
usne wo kiya kyo jo karna na tha....
waqt bhi gujarta raha...
hum chrago ki tarah jalte rahe...
wo kabhi door hote rahe,
wo kabhi paas aate rahe....
eak kashmkash si rahi har mulakat me...
mai apna sa lagta tha uski har baat me...
jo mujhe samjhana tha, wo khud na samajh sake...
mai basta ja raha tha, shayad uske khayalat me...
mere kareeb aana bhi gawara na tha...
unka mujhse bichad ke bhi gujara na tha...
doob rahe the majhdaar me is kadar...
Humari kashti ka koi kinara na tha....
waqt ne mere dil ko nichoda is kadar..
mohabat or uske naam se door hone laga...
bahot ho gaya, ab nahi chahna usko...
yahi soch ke us shahar se jane laga...
kah diya usse ja raha hu mai...
mere liye ab ye shahar anjaan ho gaya....
shayad mujhse bichadta dekh ke..
use mohabbat ka ahsaas ho gaya....
usne kaha jane se pahle ek baat sunte jana..
maine kaha waqt nahi, jo kahna hai abhi batana..
usne kaha ab mujhe tumse mohabbat hai...
maine kaha ho sake to mujhe bhool jana....
Usne kaha mar jayege hum,
tu is kadar ja nahi sakta...
maine kaha ay jaan meri,
is jamana me tumhe apna nahi sakta....
beshaq ki hai mohabbat tujhse..
tujhe kho kar sukun se rah na payege...
tum meri yaad me aansu na bahana..
yakeen karna, hum bhi tujhe bhool jayege....
bhul gaya hu sab kuch magar...
wo mohabbat ka saya ab bhi yaad hai...
uske sang chalte chalte shahil pe,
jo chubha tha mere paaw me..
wo kanta ab bhi yad hai..........
wo mili thi mujhse khwaab ki tarah
uska pyara sa chehra
uski pyari si baaten..
hoth to the uske kisi gulab ki tarah....
chalte chalte raah me mili thi..
tab usse koi rishta na tha...
na jane kab baate hone lagi,
humara to usse wasta na tha...
wo kareeb aate gaye..
sapne man hi man sazate gaye..
kuch bhi bura na laga usme..
uski har khubi ko ham apnate gaye...
par darta tha dil soch ke..
aankho me mohabbat chupa nahi sakta...
wo dil me baste ja rahe the...
jinhe mai kabhi pa nahi sakta...
achanak hi eak roz wo baat hi baat me,
kisi ke bare me batane lage...
mai chup chap unhe sunta raha...
wo badi shadgi se sunane lage....
poocha jo mai ke kon hai wo,
kis ki yaad me mahfil saza rakkha hai...
usne kaha yahi to hai wo...
jise humne dil me basa rakha hai...
mohabbat wo hai humare..
unhe bhi hai mohabbat humse...
mai chupa ke aansu has ke kaha..
to yahi hai wo jise duniya se chupa rakha hai...
ha has raha tha mai, uspar nahi..
apni takdeer pe has raha tha...
kya rishta hai mujhse, wo kon hai...
na jane kya kya soch raha tha...
dhire dhire door hone lage...
apne hi aap me khone lage....
na jane kyo dil ko chot lagi...
wo apna na tha khud ko samjhane lage....
sach hi to hai wo apna na tha..
lekin bita pal bhi sapna na tha....
wo the kisi or ke firbhi...
usne wo kiya kyo jo karna na tha....
waqt bhi gujarta raha...
hum chrago ki tarah jalte rahe...
wo kabhi door hote rahe,
wo kabhi paas aate rahe....
eak kashmkash si rahi har mulakat me...
mai apna sa lagta tha uski har baat me...
jo mujhe samjhana tha, wo khud na samajh sake...
mai basta ja raha tha, shayad uske khayalat me...
mere kareeb aana bhi gawara na tha...
unka mujhse bichad ke bhi gujara na tha...
doob rahe the majhdaar me is kadar...
Humari kashti ka koi kinara na tha....
waqt ne mere dil ko nichoda is kadar..
mohabat or uske naam se door hone laga...
bahot ho gaya, ab nahi chahna usko...
yahi soch ke us shahar se jane laga...
kah diya usse ja raha hu mai...
mere liye ab ye shahar anjaan ho gaya....
shayad mujhse bichadta dekh ke..
use mohabbat ka ahsaas ho gaya....
usne kaha jane se pahle ek baat sunte jana..
maine kaha waqt nahi, jo kahna hai abhi batana..
usne kaha ab mujhe tumse mohabbat hai...
maine kaha ho sake to mujhe bhool jana....
Usne kaha mar jayege hum,
tu is kadar ja nahi sakta...
maine kaha ay jaan meri,
is jamana me tumhe apna nahi sakta....
beshaq ki hai mohabbat tujhse..
tujhe kho kar sukun se rah na payege...
tum meri yaad me aansu na bahana..
yakeen karna, hum bhi tujhe bhool jayege....
bhul gaya hu sab kuch magar...
wo mohabbat ka saya ab bhi yaad hai...
uske sang chalte chalte shahil pe,
jo chubha tha mere paaw me..
wo kanta ab bhi yad hai..........
No comments:
Post a Comment