GHAR SE BHAAG JANE PE... Yahi Alfaaz The Uske........
Mai Aksar kehta Tha...
chlo yahaan se door chlte hain...
Hum kahin pe bhaag chalte hain..
Jahaan rausan njare hon...
Sitare hi sitare hon...
Wahaan kahin jheel kinare pe...
Ek aasiyaan ho hmara to...
Bahut hi khush rahenge hum..
Ek dooje k sng sdiyon ji lenge hum...
Mgar wo kahti tu nhi jaanta hai..
Aise door jane se
ghar se bhaag jane pe...
Bahut tkleef hoti hai...
Maa-baap ki aankhen to aansu khoon k roti hain...
Ghar ki laadli beti
mai sbko jaan se pyari...
Mohabbat ki to hai tumse
magar apno k pyar se hari...
Jra beemar jo ho jaun
mai agar chupchaap so janun..
To maa ko tkleef hoti hai...
Bdi muskil raat hoti hai..
Mujhe sine se chipkakar
mere mathe ko sehlakar...
Maa halke se kehti hain.
Bitiya theek ho jaao
chalo ab hske dikhlaao...
To dil ko aaraam milta hai..
Bahut sukoon pati hoon
papa ki fikrmndi se..
Bhai k khyaal rkhne se...
Kbhi ldne jhagadne se..
Behan k sath milkar kitchen me khana bnate wqt
hzaron sararaten krna...
Baaton k beech me ldkar
ek dooje k chehre pe aata lga dena
aur fir der tk hsna
bda sukoon deta hai...
Bhla kaise mai chorun?
Ye riste jo hain pyare...
Chlna sikha hai mene,
jinki ungli k sahare...
Mohabbat ka ye nhi mtlb
k ghar se bhaag hi jao..
Jinhone pala hai bchpn se,
unko chot pahunchao...
Mohabbat hogi agar sacchi
to mil hi jayenge...
Haan jheel kinare fir
hum apna aashiyana bnayenge.....
No comments:
Post a Comment