Bhool Jaao Agar Tumbhi To Kyaa,

Bhool Jaao Agar Tumbhi To Kyaa,
Wafayen Najaane Kitne hain Darj,
Na hua mera to kabhi Gham na 
Uthaunga Main...

Bhool jaao agar tumbhi to kyaa,
Yaadon me lekin hardam tujhe 
Sataunga Main...
Teri Ek muskuraahat ke liye
lutaadun saari duniyaa ko main...
Ashkon ko Aankhon se kabhi na
girne dena yaar mere,
Ke Aansuon ko tumhaari kabhi bhi
na dekh paunga main....

Likha na jaane kitno ne Likh to main
bhi rahaa hun Magar,
Shayar main nahi....
Milega moukha kabhi to karke bhi
dikhaunga Main.....

Khamosh Hi Gar Main Rahun to
Khafa Main Hargiz nahi,
Gustakhi me Dil kahin tut na jaaye
Tera,
Isliye Chup Ho Jaata Hun main...

Meri bhi Khushiyan bas tujhi ko
mile Meri Jaan..
Phool bankar tu hardam Khile..
Milega moukha kabhi to Khudase
tere saare Ghamon ko Maang lungaa Main....

Ummeed tujhse mujh ko kuch bhi nahi ,
Roushan magar duniya teri hardam rahe...
Roushni ki gar padhjaaye zarurat
kabhi,
To khud ko bhi Jalaungaa Main......

Wafa me gar kami padhjaaye meri,
to bakshdena yaar mere,
Ke farishtaa main nahi,
Warna Zindagi ko bekaar samajh
jaungaa main...

Raaste Zindagi ke alag Hon Shayad,
Manzil tujhe apni Lekin Mile...
Saya Mera gar nahi to kyaa,
Saath magar hamesha Nibhaunga main......

No comments:

Post a Comment