Kisi aur k.........

Kisi aur k.........
AAj mere Sanam ne Sehra Bandha hai...
Nikali hai barath, kisi aur k Angan Pahunchi hai...

Chadhi hai Suhaag ki chudiyan kisi aur k haath....
AAj uske naam ki mehndi Kisi aur k Haath rachi hai....
Bani hai koi Dhulhan mere Sanam k liye...
AAj kisi ka char diwari Phoolo aur roshni se saji hai...

Jagay thi yea aas Usne mere man mein...
Par aaj usne Kisi aur ki Maangh sajai hai....

Vaada kiya tha mera saath nibane ka...
Par aaj kisi aur k sang usne apni Dhuniyan basai hai....

main aaj khush hun, Ki woh Khush hai....
par najane kyun palko pe yea nami chai hai....

Labo par chai hai, Der sari muskarahat...
Par kyun is Man mea Tanhai hai.....

AAj kisi aur ki Doli...
Mere Sanm k Ghar ko Nikli hai.....

Ab nahi saha ja raha mujhse yea dard....
Kyun kisi ki Chudi Mere Sanam k liye khanki hai....

Tar tar tadap raha hai mera Dil....
Ashko ki dhar labo tak Chalki hai...

Royegi tho aaj uski bhi Dulhan...
Par mere ansuo ki Kisko padi hai....

AAj mere Sanam ne Sehra bandha hai...
Nikli hai barat , Kisi aur k Angan pahunchi hai.....
Kisi aur k Angan pahunchi hai...

No comments:

Post a Comment