Gulabi honth mehakti zulfein mekhmal sa badan....
Uske yowaan ne zehn-o-dil pe ik qaher daya hai....
uski har achhi baat mithi mithi se lage aawaz....
jaise saat suro.n ki saza malhar usne gaya hai....
Woh uske maathe k bindia, uske chehre ka noor....
Jaise insaan ke Roop mein chand utar aaya hai....
wo kali kali aakhein,aakhon mein kajre ki dhaar....
jaise sagar se koi sheep ka moti nikal laya hai....
wo uska komal sa dil woh uske chehre ki sadgi....
lage jaise farishta hee aakar usme samaya hai....
dil me bhari mohabbat aakhon me meri tasveer.....
mere sanam ke roop me maine khuda paya hai........
No comments:
Post a Comment