Ek Chote Se Kaghaz Me Ek Ladki Ke Naam Ek Bayan Tha...
Wo Bayan Us Ladke Ka Tha Jo Pehle Kabhi Uski Jaan Tha...
Par Afsos Juda Hui Unki Mahobbat Khatam Hone Se Pehle...
Aur Akele Jana Tha Safar Par Jiska Raasta Bilkul Viraan Tha...
Aaj Barso Baad Mile Apne Mehbub Ki Is Chitthi Dekh...
Dil Us Masum Si Ladki Ka Yaaro Bahut Pareshan Tha...
Sochne Lagi Khusi Khusi To Ham Juda Hue Apno Ki Khaatir...
Aur Kabhi Na Karege Bat Ye Ham Do Dilo Ka Karaar Tha...
Jab Padhne Lagi Wo Chitthi To Ladki Kuch Samaj Na Payi...
Kyuki Likha Tha, Jo Sath Gujra Wo Pal Kitna Khusgawar Tha...
Sochne Lagi Fir Aaj Ye Mahobbat Ki Baate Kyu...
Kyuki Dard Pehle Hi Uske Dil Me Basa Besumaar Tha...
Padhte Padhte Wo Chitthi Ko Khatam Hi Kar Rahi Thi..
Ki Ant Me Us Kaghaz Ke Ek Chota Sa Elaan Tha...
Padhke Us Elaan Ko Wo Ladki Rote Rote Wahi Gir Padi...
Wo Aakhri Elaan Ye Tha Jisne Kar Diya Usko Bejaan Tha...
"ki Me Dost Hu Tumhare Mehbub Ka, Wo Ab Is Dunia Me Nahi...
Tumhare Liye Tumhare Mehbub Ka Ye Aakhri Paigaam Tha.....
No comments:
Post a Comment