aawaaz lagaa kar dekhnaa hum tere liye thahar jaayenge....
hum tere aks hain, tere hi jism se jude nazar aayenge....
kabhi dekhnaa khade ho kar aaine ke saamne tu khud ko....
hai yakeen, hum tujhe teri aankhon mein nazar aayenge....
haseen raaton mein chhat pe baahen failaaye khadi hogi....
ban hawaa tujhe chhoo ke tere kareeb se guzar jaayenge....
chaandni raaton mein jab tu dekhegi us chaand ko tab....
hum uss chaand se tujhe, tujh ko dekhte nazar aayenge....
dekhnaa gaur se kabhi uth_ti samundar ki lehron ko tu....
jaanaa hum tujhe un lehron ke paani mein nazar aayenge....
tu ho saahil par khadi dekhti mujhe, tujhe chhoone ko....
takraake saahil se toot ke boondon mein bikhar jaayenge....
tere khwaabon mein aake tere neendon ko chhed jaayenge....
kholegi aankh to haqeeqat mein har taraf nazar aayenge....
hai yeh waadaa hamaaraa ki tujhe itnaa pyaar denge hum....
ki tujhe humko chaahne ke liye majboor hum kar jaayenge.....

No comments:
Post a Comment