Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichadna Bhi Zaroori Tha…

 Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichadna Bhi Zaroori Tha…



Teri Aankho Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha…
Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichadna Bhi Zaroori Tha…
Zaroori Tha Ke Hum Dono Tawafe Arzoo Karte…
Magar Phir Arzoo-O Ka Bikharna Bhi Zaroori Tha…
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha…
Batao Yaad Hai Tumko Woh Jab Dil Ko Churaya Tha…
Churayi Cheez Ko Tumne Khuda Ka Ghar Banaya Tha…
Woh Jab Kehte The Mera Naam Tum Tasbeeh Me Padhte Ho…
Mohabbat Ki Namazo Ko Qaza Karne Se Darte Ho…
Magar Ab Yaad Aata Hai Woh Baate Thi Mehez Baate…
Kahi Baato Hi Baato Me Mukarna Bhi Zaroori Tha…
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha….


Wahi Hai Soorate Apni, Wahi Main Hoon Wahin Tum Ho…
Magar Khoya Huya Hoon Main, Magar Tum Bhi Kahi Gum Ho…
Mohabbat Me Daga Ki Thi Jo Kaafir The So Kaafir Hai…
Mili Hai Manzile Phir Bhi Musaafir The, Musaafir Hai…
Tere Dil Ke Nikaale Hum Kahaa Bhatke, Kahaa Pahunche…
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya Bhatakna Bhi Zaroori Tha…
Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichadna Bhi Zaroori Tha…
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha…


Zaroori Tha Ke Hum Dono Tawafe Arzoo Karte…
Magar Phir Arzoo-O Ka Bikharna Bhi Zaroori Tha…
Teri Aankho Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha…..

No comments:

Post a Comment