Mahobbat Ki Dunia Me Kissa Aesa Bhi Aye Yaar Ho Gaya...
Bin Dekhe Hi Ek Ladki Aur Ek Ladke Ko Pyaar Ho Gaya...
Ajnabi Dil The, Ajnabi Unki Aadte Thi Fir Bhi Aye Yaaro...
Baato Hi Baato Me Ek Din Mahobbat Ka Izhaar Ho Gaya...
Badhte Badhte Mahobbat Unki Kuch Is Had Tak Aayi...
Ki Dekhne Ko Ek Duje Ko Unka Dil Bekarar Ho Gaya...
Aa Hi Gaya Wo Din Yaaro Jis Din Wo Ab Milnewale The...
Par Afsos Usi Din Uski Mehbuba Ka Intekaal Ho Gaya...
Suni Jab Ye Baat Us Ladke Ne To Wahi Ke Wahi Gir Pada...
Aur Hote Bhi Jaan Usme Yaaro Wo Bejaan Ho Gaya...
Kehne Laga Waah Kya Kehna Tera Bhi Aye Taqdeer Likhnewale...
Jo Tha Zindagi Ka Sabse Khaas Din Wahi Gam Ka Tyohaar Ho Gaya...
Jakar Khuda Ki Bargaah Me Ro- Rokar Usne Rabse Ye Kaha...
Kesa Khuda He Tu Meri Mahobbat Par Itna Bhi Aitbaar Na Kar Saka...
Aesi Bhi Kya Nafrat Tuje Mujse Jo Me Apne Yaar Ka Didar Na Kar Saka...
Beintehaa Chaha Tha Mene Us Anjaan Ko Aye Mere Parwardigaar...
Tu Meri Khusi Ki Khaatir Uski Zindagi Me Ek Do Pal Aur Ikhtiyaar Na Kar Saka...
Yahi Ro- Rokar Tere Darpe Aaj Me Qurbaan Ho Jaunga Dekhna...
Tu To Hokar Bhi Khuda Meri Mahobbat Ka Jara Sa Khyal Na Kar Saka....
Sunkar Ye Daasta, Kalam Bhi Us Kaatib -E- Taqdeer Ki Kaanp Uthi...
Use Bhi Hua Afsos Ki Wo Us Ladki Ko Us Ladke Ke Naam Na Kar Saka...
Aur Fir Likha Gaya Uski Mehbuba Ki Zindagi Me Zindagi Ka Kalaam...
Kyuki Yaaro Khuda Bhi Us Din Uski Mahobbat Se Inkaar Na Kar Saka.......
No comments:
Post a Comment