Ek Pyar hai mera jo mera suroor hai......
Nashe me uske yeh Shayar aaj choor hai......
Kahani na kehna ise dastaan me likhna chahata hoon......
Lage hai mele khushion ke toh gum aaj door hai......
Ek Pyar hai mera jo mera Suroor hai.......
Aankhein jiski Shabnami Dil thoda masoom jaroor hai.....
Nahi Samajhti iss bedard dunia ko uske liye toh yahan harr koi Huzoor hai......
Na Samajh sahi par Pyar hai mera jo mera Suroor hai.......
Chahata hoon use main kitna yeh khud pata lagana Numumkin hai......
Chand sa Chamakta uska Chehra toh Khawabon se bhara uska Jabeen hai.......
Timtimati Chandani me thandi hawa se uska lehrata aanchal......
Saath hoti hai jab woh mere toh hota mujhe bhi guroor hai......
Haan Chahana kisi ko koi Gunha nahi.... Ek Pyar hai mera jo mera Suroor hai.........
Maut bhi na kar payegi kabhi Judaa hume......
Dekhna Dhoondke milayegi harr Raah hume......
Koi toh hamari Chahat ki bhi Kabr ko sajayega.....
Kehlayegi yeh Dastaan bhi sacchi Aashiqui ki... hamara pyar bhi Amar Prem kehlayega........
No comments:
Post a Comment