Raat din uska wo bartan manjwana...

Raat din uska wo bartan manjwana...

Chupke chupke rat din uska bartan manjvana yaad hai..
humko aab tak kapdey doney ka woh Zamana yaad hai...

Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping..
woh mera meri biwi se, ATM card chupana yaad hai...
ciggrate pee ke jab bhi ghar mein aana para mujhey..
woh mera dantoon taley, illaichi chabana yaad hai...

wakt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai Mujhy..
biwi ke pars se car ki chabi churana yaad hai...

Jub Kabhi Itifaqan taway pey roti jal janay per...
woh mera tere belan se sir phorwana yaad hai...

Apni umar chupanay ke liyah who tera munnay ko peetna..
Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kahna yaad hai...

khinch lena woh tera salary ka lifafa dafataan...
aur tera beautyparlor pe woh paissey udana yaad hai...

aaye din saley saliyooN ka aana ghar pe mere...
woh tera unkey samney mujhey murga bnana yaad hai......

No comments:

Post a Comment